Kisi ne pucha Ishq kya hai?
Main ne kanton par chal kar bata diya..
.
puchha! Kitna piyar karty ho Us se?
Main ne pura aasman dikha diya,
puchha! Kaise rakho gay us ko?
Main ne mehkta hwa gulab dikha diya..
puchha kese raho gay us k sath?
Main ne zameen par apna saya dikha diya..
Puchha wo hai kitna kubsurat?
Main ne chodwin ka chand dikha diya..
Puchha! Kab tak raho gay us k sath?
Main ne zindagi ka akhri din bata diya...
کوئی تبصرے نہیں:
ایک تبصرہ شائع کریں