" HAMD "
Jaan jis men hy usy rizq KHUDA deta hai
WO to pathar men bhi keeray ko ghiza deta hai
Din ko suraj se zamany ko ziya deta hai
Raat ko aasmaan chand taaron se saja deta hai
gharaq kr deta hai Firaon ka lashkar
Wo Qafila-e-Moosa ko paar laga deta hai
aag mei daal diye jate hain aashiq Uss k
aur WO aag ko Gul-o-gulzar bana deta hai
Wo azal se hy or abad tak rahy ga
Usi pr imaan Insan ko musalman bana deta hai
کوئی تبصرے نہیں:
ایک تبصرہ شائع کریں