جمعرات، 16 جنوری، 2014

HUM TO MAUJOOD

Hum to mojood they raaton main ujaalon ki tarah,



Log niklay hi nahi dhondney walon ki tarah,



Janay keun waqt b, ankhain b, qalam b, lab b,



Aaj khamosh hain guzray huey salon ki trah,



Rat guzri to sisakti hui khamoshi se



Asman phoot para paon key chhaalon ki trah,



Sari rahain, sabi sochain, sabi batain, sabi khuwab,



Keun hain tareekh k bey-rabt hawalon ki tarah,



Zindgi khushk hai, viran hai, afsurda hai,



Kisi mazdoor k bikhray huey balon ki trah.

کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں